aik tarahi ghazal
kuch arsa qabl likhi gayee aik tarahi ghazal pesh-e-khidmat hai:
paamaali-e-chaman to nahiN chaahiye mujhe
"jo shaakh jis jagah thi vohiN chaahiye mujhe"
jo ho daroon-e-dil se HaseeN, chaahiye mujhe
ye kab kahaa ke zohra jabeeN chaahiye mujhe
seene meiN jis ke dard ho insaaN ka har ghaRi
aisaa makaan-e-dil ka makeeN chaahiye mujhe
taa umr aasman peh uRta rahaa magar
marne ke baa'd thoRi zameeN chaahiye mujhe
maana talab hai mujh ko chaman ke sukoon ki
lekin sukoot-e-marg naheeN chaahiye mujhe
qaa'id ki rooH phooNk de jo har javaan meiN
voh ai'timaad aur yaqeeN chaahiye mujhe
kuch yaad hai ke dekh ke tum ne hamaara dil
kis naaz se kahaa tha "naheeN chaahiye mujhe"
jo lazzat-e-sujood se vaaqif ho ae nabeel
aisi saleeqa mand jabeeN chaahiye mujhe
aadaab arz hai