Javed kay naam - by Dr Allama Iqbal
Iss nazm ka siyaq-o-sabaq main nay Dr Javed Iqbal se unn ke zabani jab wo Doha main Allama pe lecture dainay kelyay tashreef layay thay, suna tha. Allama (Javed Iqbal unhain haimisha Dr Saheb kehtay hain) England tashreef legyay thay shayed kisi conference kay silsalay main. Javed nay apnay walid ko khat likha aur wahan se aik baja laanay ke farmayesh ke. Allama nay jawab main ye nazam likh ke irsal kar de.
Dyar-e-Ishq main apna muqaam peda ker!
Naya zamana naye subh-o-shaam peda ker!
Khuda agar dil-e-fitrat shanas de tujh ko
Sukoot-e-Lalah-o-gul se kalam peda ker!
Utha na sheesha giran-e- ferang ke ihsaan
Sifal-e-hind se mina-o-jaam peda ker!
Main shakh-e-tak hun meri ghazl ha mera samr
Miray samr se mae lalahfam peda ker!
Mira tareeq ameeri nahin faqiri ha!
Khudi na beich gharibi main naam peda ker!
Iss nazm ko (kuch izafay kay saath) Nusrat Fateh Ali Khan nay boht khoobsurt andaz main paish kia hay:
http://www.youtube.com/watch?v=BGKh7aQJYoY&feature=player_embedded