Ahmed Nadeem Qasmi ki aik ghazal
ab tak to noor-o-nikhat-o-rang-o-sadaa kahoon
main tujh ko choo sakoon to Khudaa jaane kiaa kahoon
lafzon se unko pyaar hai maf'hoom se mujhe
voh gul kaheN jise maiN tira naqsh-e-paa kahooN
ab justujoo hai teri vafaa ke javaaz ki
jee chaahata hai tujh ko vafa aashnaa kahooN
sirf is liye ke ishq isi ka zahoor hai
main tere Husn ko bhi saboot-e-vafaa kahooN
too chal diya to kitne Haqaaiq badal gaye
najm-e-saHar ko marqad-e-shab ka diyaa kahooN
kia jabr hai ke but ko bhi kehna paRay Khudaa
voh hai khuda to mere Khuda tujh ko kiaa kahooN
jab mere mooNh mein meri zabaaN hai to kyuN na maiN
jo kuch kahooN, yaqeeN se kahooN barmalaa kahooN
kia jaane kis safar pe ravaaN hooN azal se maiN
har intehaa ko aik nayee ibtidaa kahooN
ho kyuN na mujh ko apne mazaaq-e-sukhan pe naaz
Ghaalib ko kaainaat-e-sukhan ka khudaa kahooN