aik ghazal ke chand ash'aar :
salaam arz hai
khaaksaar ki aik ghazal pesh-e-khidmat hai:
ataa-e-lutf-o-inaayat raheen-e-be.khabari
qubool ahl-e-junooN ko khirad ki jaama.daree
mataa-e-ilm-o-hunar se zameen ki sauda.garee
vateera ahl-e-havas ka unhin ki baazee.garee
qafas diya hai nasheman ujaaR kar mujh ko
kamaal ki hai ye ahl-e-chaman ki chaara.garee
phir is ke baad masaafat ki mushkilen kia hain
jo raah-e-shauq mein mil jaaye teri ham.safaree
ye aehtijaaj, ye shikway, ye vehshaten choRho
ilaaj-e-dard-e-mohabbat labon ki bakhiya garee
yehi guzaarish-e-ahvaal-e-vaqaee hai nabeel
hunar.varon ke liye shaairee hai be.samaree
shukriya
nwtech
0 comments