حقیقت کوفسانہ کر گیا ہے haqeeqat ko fassana kar gaya hai
حقیقت کوفسانہ کر گیا ہے
مجھے وہ یوں دوانہ کر گیا ہے
مِرے ہی کام کا وہ حصہ بن کر
سخن میں اب ٹھکانہ کر گیا ہے
یہ دل تو تھا مرا ویرانہ لیکن
اِسے وہ آشیانہ کر گیا ہے
کسی کے راستے میں ہی نہیں تھا
وہی در آستانہ کر گیا ہے
تکبُّر سے بھرا تھا ذہن اظہر
اُسے وہ عاجزانہ کر گیا ہے
haqeeqat ko fassana kar gaya hai
mujhay woh yun dawana kar gaya hai
meray hi kaam ka woh hissa bun kar
sukhen main ab thikkana kar gaya hai
yeh dil to tha mera veerana laikin
issay woh ashiana kar gaya hai
kissi kay rastay main hi naheen tha
wohi dur aastana kar gaya hai
takkabur say bhara tha zehn azhar
ussay woh ajizana kar gaya hai
0 comments