Jaun Eliya ki aik ghazal
bazm se jab nigaar uThta hai
mere dil se ghubaar uThta hai
maiN jo baiTha hooN to voh khush qaamat
dekh lo ! baar baar uThta hai
teri soorat ko dekh ker miri jaan
khud.ba.khud dil meiN pyaar uThta hai
us ki gul.gasht se ravish.ba.ravish
rang hi rang yaar uThta hai
tere jaate hi is kharaabe se
shor-e-giryah hazaar uThta hai
kaun hai jis ko jaaN azeez nahiN
le tiraa jaaN nicaar uThta hai
saf.ba.saf aa khaRe hue haiN ghazaal
dasht se khaaksaar uThta hai
hai ye teshaa ke aik sho'laa sa
bar.sar-e-kohsaar uThta hai
karb-e-tanhaai voh shae hai ke Khudaa
aadmi ko pukaar uThta hai
too ne phir kasb-e-zar ka zikr kia
kahiN ham se ye baar uThta hai
lo voh majboor-e-shehr seHra se
aaj deevaana vaar uThta hai
apne haaN to zamaane vaaloN ka
roz hi ai'tibaar uThtaa hai
Jaun uThta hai ' yooN kaho' yaa'ni
Meer-o-Ghalib ka yaar uThta hai :p
aadaab arz hai