Majeed Amjad & Wassi Shah
A few years before I had posted two nazms , "Bunda" (ear ring) and "kangan" by Majeed Amjad and Wassi Shah respectively in an online forum.
Wassi Shah's "kangan" is very popular among the youth, I could be wrong but in my personal opinion this nazm is inspired by Majeed Amjad's nazm "bunda".
aap sab ke aa'la adabi zauq ke pesh-e-nazar ye donoN nazmeN yahaaN pesh ki jaa rahi haiN.
"Bunda" by Majeed Amjad :
kaash main tere bun-e-gosh mein bunda hota
raat ko bekhabri mein jo machal jaata main
to tere kaan se chup chaap nikal jaata main
subha ko girtay jab teri zulfon se baasi phool
mere kho jaaney pe hota tera dil kitna malool
tu mujhe dhoondti kis shauq se ghabraahat mein
apney mehkay huey bistar ki, har ik silwat mein
junhi karteen teri narm ungliyaan mehsoos mujhe
milta is gosh ka phir gosha-e-maanoos mujhe
kaan se tu mujhe hargiz na utaara karti
tu kabhi meri judaai na gawaara karti
yoon teri qurbat-e-rangeen ke nashey mein madhosh
umr bhar rehta meri jaan main tera halqa bagosh
kaash main terey bun-e-gosh main bunda hota
********
aur Wassi Shah ki nazm "kangan"
kaash main tere haseen haath ka kangan hota
tu barrey pyar se chaao se barrey maan ke saath
apni nazuk si kalaai mein charrhaati mujhko
aur betaabi se furqat ke khizaan lamhon mein
tu kisi soch mein doobi jo ghumaati mujhko
main tere haath ki khushboo se mahak sa jaata
jab kabhi mood mein aa kar mujhe choomaa karti
tere honton ki main hiddat se dahak sa jaata
raat ko jab bhi too neendon ke safar par jaati
marmareen haath ka ik takiya banaaya karti
.....
.......
kuch nahiN to yehi be.naam sa bandhan hota
kaash main tere haseen haath ka kangan hota
shukriya
nwtech