Iftekhar Raghib - Umda sha'eri
Fikr au ba mah-o-anjum humnasheen
zasht ra na aashna khoob aafreen
Aaj subh mujahy nehyat umda kalam parhany ka itfaq hua aur Iqbal ka wo sh'er yaad agaya jahan wo aik achay sh'aer ko mah-o-anjum ka hamnasheen batatay hain. Yeh kalam tha Janab Iftekhar Raghib Saheb ka. Farmatay hain ke:
Gustakhyan bhe karni hoon gar meri shaan main
ye iltajaa hay kejayay Urdu zaban main
Janab Raghib Saheb ke shaeri nay mujhay aik mushkil main mubtala kardiya hay; mujhay samajh nahe araha kay unkay kis sha'er pe daad doon aur kis ko chore doon. Mujhay hergiz andaza nahe tha ka Qatar main aisa aasman-e-khush-lehjgi ka badar moujod hay. Alfaz-o-ma'ani ke mooti pro deyay hain. Main nay inn ke kutab 'Lafzon Mein Ehsas' aur 'Khayal Chehra' pe aik taerana nazr dali hay aur jis sh'er ko bhe parha wo salsat, asleyat aur waqe'ayat, jidat aur asar pazeeri se bharpoor paya. Inn ka asloob juda hay jis main kahe kahe qadeem sha'eri ka rang bhe nazar aata hay jo rooh ko taza kar daita hay. Yeh ma'arktulara ghazal mujhay ji jaan se pasand aye hay aur kai baar parhi hay..
Dil ke aik aik baat rakh doon ga
mil gaya ab mujhay agar mouqa'a
tum ne takheer kar de aanay main
ab kahan meray charagar mouqa'a
roz fitna koi uthaanay ka
Dhoondh laitay hain fitnagar mouqa'a
Raghib Saheb ke sha'eri unn a'yoob se mukaml paak hay jo fasahat ko majrooh kartay hain aur yeh a'yoob nayay shao'ra ke shairi main aksar nazar aatay hain. Aapkay haan acha asloob bhe hay aur umda khayal bhe.
Main nayay shaora se khasa badzan hoon lekin unn main inn sa goher shahdar bhe hay nahe maloom tha. Saadgi aur jidat ka haseen tawazan mulaheza kejeyay.
Teray chehray pe koi daagh nahe
kaisay keh doon ke maahtab hay tu
Mujh ko sha'er bana ke jaan-e-ghazal
apnay maqsad main kamyaab hay tu
Main Iftekhar Raghib ko aisa behtreen kalam takhleeq karnay pe mubarakbaad paish karta hoon aur dua karta hoon ke aap mazeed likhtay rahain aur aapkay kalam main jo aayma-e-adab ke shaan, aur buland takhual hay wo hamiasha qayem rahay. Aap Mirza Nousha ke tarah, baja taur per yeh keh saktay hain ke: 'Main chaman main kia gaya, goya dabastan khul gaya..'
Aap ke sha'eri iss darja niraly tarz-e-bayn ke hamil hay ke basa auqat sar dhunany ko ji chahta hay. Inn ke ash'ar main jazbaat ka izhar iss khobi se somoya hay ke qari per bhe wohi jazbaat tari hojatay hain. Yeh wo khobi hay jis kay baghair sh'er sh'er nahe hota. Aap bhe parheyay aur sar dhunyay ke.. 'Dafa'atan hoti hay her sater main junbash paida'...
Farib-o-makr ke shayed ke gard chat jayay
kabhi haqeeqat-e-shahbaz, fakhta sa kaho
Tum nay rasman mujhay salam kia
log kia kia guman kar baithay
Talwar rehnay dejeyay Raghib meyan main
taseer paida kejeyay apni zaban main
Phone aur e-mail main Raghib hay wo lazat kahan
lutaf tha jo dhaiknay main nama-bar ka rasata
Kitnay din aur kai baras younhe
kia taraptay rahain gay bas younhe
Zaili link pe inn ke kutab ka barqi nuskha moujod hay.
http://www.urdudost.com/library/index_shairi.php
Guzergah-e-Khayal Urdu and English Forum
http://guzergah-e-khayal.groups.live.com/