Intercontinental mein - Nasir Kazemi
Raat milay kuch yaar purany Intercontinental mein
yaad ayay phir kitnay zamanay Intercontinental mein
Kitnay ranga-rang musafir shana-be-shana raqas kunan
chor gayay kitnay afsanay Intercontinental mein
inn hanstay honto kay peechay kitnay dhuk hain hum se poch
hum nay dhaikay hain veeranay Intercontinental mein
maykhwaron ke saf se paray kuch aisay aalizaraf bhe thay
bhar na sakay jin kay paimanay Intercontinental mein
Ye kia haal bana lae ye kaisa rog laga lae
tum tu gayay thay ji behlanay Intercontinental mein
Nasir tum logo se chup kay chupkay chupkay raat gayay
kyon jaatay ho ji ko jalanay Intercontinental mein
0 comments