Shahenshah-e-sukhan Mirza Daagh
Aay Dagh koi mujh sa na hoga gunahgar
hay ma'useyat se meri jahanum azab main
Agr baat ho lutf-e-zaban, saadgi, safay-e-bayan, be-sakhatgi, shookhi, tarz-e-ada, husn-o-ishq ke chashni aur moa'amlabandi ke saroor angaiz, salasat, fasahat, ma'anwiyat aur ramzeyat, tawazan-o-taranam, bandash ke chusti, amsal ke ro'anai-o-dilkashi, chamkeela pan, teekha pan, tewar, tanz aur shooki ke halawat aur bebaki.. tu uss ka aik he naam hay aur wo hay Dagh. Dagh ke kalam me ye tamam khoobyean moujood hain.
Main jab Dagh ka naam laita hoon tu Ghalib ka yeh she'r yaad aata hay..
Baar-e-khuda ye zuban pe kis ka naam ayaya
ke meri nutaq nay bosay meri zuban ke leyay
jabke Dagh ka apna aik she'r hay...
Jalnay lagti hay zuban kehtay he Dagh
uff nikl jaati hay meray naam per
Dagh ke mua'amlabandi main aik chamak damak hay aur iss main aik khush-ayned sana'atgari hay.
Sharm mujh se aur wo bhe wasl main
tum tu nadem ho kisi taqseer per
Agr aap dagh ke shayri ka mutale'a karain tu aik baat boht wazeh hay aur wo hay unn ka aik munfarid asloob-e-bayan. kuch asha'a naql karta hoon..
Du baar tu nay zikr kia rashk-e-hoor ka
naseh khuda kary thujay doona sawab ho
Dunya main kia dhara hay, qaymat main lutf hay
mera jawab ho, na tumhara jawab ho
Chupaya boht hum ne pehlo main dil
koi lainay wala magr lay gaya
raqeboon ke haathoon se mehshar ke din
tumhain cheen ka main agr lay gaya
Wo iss ada se wahan jake sharmsar aya
raqeeb per mujhay be-ikhtiyar pyar aya
yeh haal tha shab-e-wa'ada ke ta beh rah guzr
hazar baar gaya main, hazar baar aya
khuda ke wastay jhooti qasm na khayay
mujhay yaqeen hua, mujh ku a'atbaar aya
Yeh dhaikay ka khoob kaha.. dil ash ash kar utha hay
Ayena tasweer ka tery na lay kar rakh diya
bosay lainay ke wastay ka'abay main pathar rakh diya
hum nay unnkay samnay awal tu khanjar rakh diya
phir klaija rakh diya, dil rakh diya, sar rakh diya
munsafi ho tu ghazb, na munsafi ho tu sitm
uss nay mera faisla mouqof mujh per rakh diya
Dagh kai jaga tu bas aasman ke taray tour laatay hain.. mulaheza ho.. ibtadayay ramadan main abroo aur uss ke mutabaqat sharoo kay dinoon kay chaand se Dagh ke sewi kaun kar sakta hay.
tum ku aashufta mezajoon ke khabr se kia kaam
tum sunwaara kao bhaitay huyay gaiso apna
ibtadae-e-ramdan main hay mah-e-Eid ke dhoom
kisi kaafir ne dhekaya na ho abroo apna
Baat kaafi taweel hogye hay.. khatm karta hoon aik munfarid she'r ke saath..
Khuda ka khauf nahe par batoon se darta hoon
gunahgar na yeh be-gunah dhaiktay hay