Ek Larki
By ajnabi0707 •
Wo Larki bhi ek ajeeb paheli thee,
Peyase hont they aankh samandar thee,
Us k apne sae se dar lagta tha,
Soch k sehra main wo tanha hirni thee,
aate jese mosam ko dhasti thee,
hanste hanste palko se ro parti thee,
aadhi raat gawa deti thee chup reh kar,
aadhi raat chand se batain karti thee,
tez hawa ko rok kar apne aanchal se,
sookhe phool ekathe karti thee,
sab par zahir karti thee bhed apna,
sab se ek tasweer chupa rakhti thee,
kal shab chikna choor hova tha dil uska,
ya phir wo pehli bar khul k roe thee,
Ajnabi keya jane keyo dhoop se be parwah,
wo apne ghar k dehleez par bethi rehti thee.
0 comments