Mujhe Apny Zabt Pey Naz Tha
Mujhe Apny Zabt Pey Naz Tha, Sar-E-Bazam Raat Ye Kia Hoa
Mery Ankh Keyse Chalakh Pary, Mujhe Ranj Hai Ye Bora Hoa
Mery Zindagi Ke Charagh Ka, Ye Mizaj Koi Nahi Naeya
Kabhi Roshni Kabhi Tariki, Na Jala Hoa Na Bujha Hoa
Mujhe Aap Kuen Na Samjh Saky, Ye Apny Dil Sey Hi Pocheye
Mery Dastan-E-Heyat Ka, Hai Warq Warq Khula Hoa
Abhi Abhi Mery Pass Sey, Jo Nazar Bacha Key Guzerh Gaye
Ye Mery Seher Key Loog Han, Mery Ghar Sey Ghar Mila Hoa
Mujhe Jo Bhi Dushman-E-Jan Mila,Wohi Pukhta Kar-E-Jafa Mila
Na Kisi Ke Chot Ghalat Pary, Na Kisi Ka War Kahta Hoa
Mujhe Ham Safar Bhi Mila Koi, Tu Mery Tarha Hi Luta Hoa
Kabhi Manziloon Se Hata Hoa, Kabhi Qafiloon Sey Luta Hoa
Mujhe Ik Gali Men Para Hoa, Kisi Bad Naseeb Ka Khath Mila
Kaheen Khoon-E-Dil Sey Likha Hoa, Kaheen Ansoon Sey Mita Hoa
Hameen To Ye Bhi Haq Nahi, Ke Shareq Bazam Kohlos Hon
Na Cehry Pey Apny Naqab Hai, Na Kuch Asteen Men Chupha Hoa
Hameen Apny Gharh Sey Chaly Hoye, Sar Rah Umer Guzerr Gaye
Na Safar Ka Haq Ada Hoa, Na Justajo Ka Sila Mila