مسافر حسن musafir-e-husn
مسافر حسن
سبب اس کا کچھ بھی ھو سہی لیکن
ترے رخسار میں ایسی کچھ بات تو ھے
سرخیے گلاب ھی نہیں اس میں لیکن
رنگ شادابیے حسن اور شباب بھی ھے
روز اٌتے ھیں تری دید کو مسافر حسن
اٌخر یہ حسن کامل اک سوغات تو ھے
کتنے اٌ تے ھیں دیکھ چلے جاتے ھیں
یہ بتا تیرے کہیں کچھ حساب بھی ھے
نگری نگری گاون گاون ڈھونڈ پھرے
اور تو کچھ بھی نہیں اک تری زات تو ھے
ھم کو دنیا میں حسن ملا نا کہیں
چھانی ھر اک تحریر اور ھر کتاب بھی ھے
دمبخود ھوتے ھیں کیوں دیکھ تجھے رہ گزر
بتکدوں میں بڑا ذکر لات اور منات تو ھے
ھم نے پوچھا بہت سوں سے جواب اسکا
ایسا کیا ھے جو تراحسن لاجواب بھی ھے
جھیلتے کیوں ھیں لوگ صعوبت حسن و عشق
اس میں تری شوخی کا بھی کچھ ھاتھ تو ھے
اظھر بھی دیوانوں کی قطاروں میں پھرا کرتا ھے
اس میں راحت ھے بڑی اور کچھ عزاب بھی ھے
musafir-e-husn
sabbab is ka kuch bhi ho sahi laikin
teray rukhsar main aisi kuch baat to hai
surkhiay gulaab hi naheen is main laikin
rang-e-shadabiay husn aur shabaab bhi hai
roz atay hain teri deed ko musafir-e-husn
akhir yeh husn-e-kamil ik soghat to hai
kitnay atay hain chalay jatay hain
yeh bata teray kaheen kuch hisaab bhi hai
nagri nagri gaon gaon dhoond phiray
aur to kuch bhi naheen ik teri zaat to hai
hum ko duniya main husn mila na kaheen
chaani har ik tehreer aur kitab bhi hai
dam bakhood hotay hain kyun dekh tujhay rahguzar
but kadon main bara zikr-e-laat aur manaat to hai
hum nay poocha bohat son say jawaab is ka
aisa kla hai jo tera husn lajawaab bhi hai
jheeltay kyun hain log saoobat-e-husn o ishq
is main teri shokhi ka bhi kuch haath to hai
azhar bhi deewanon ki qataron main phira karta hai
is main rahat hai bari aur kuch azaab bhi hai