**Shezada Jibran|Shezadi Javeria**
On the request of BlueRose. Own written.
Who bholi si lerdki, apna dupata sembhal ker seerdhiyoun sey neechy aa rehi thi. Her koi apni duniya mein magan tha, sub Shezada Jibran ki aney ki khushiyan mena rehy they. Ajj pora mehal eik dulhan ki terha seja hova tha. Aisi asna mein Shezada Jibran ki nazer usi husn ki melka per perdhi aur uski zindagi ka eik neya dour shuro ho gaya. Shezada uss lerdki ko youn daikh reha tha jaisey koi janeney wala bichard ker phir mil gaya ho. Shezada bhi uss lerdki sey mil chukka tha, mager khawabon aur khaiyaloun mein. Who lerdki ahista se chel ker Shaihansha Alamgir k pass aa ker kherdi ho gayi. Shaihansha Alamgir, jo apne ikhlaq wa adaab ki wejah sey baihad mashoor tha, uss lerdki ki tareef baiyan kerny lega. Shezada Jibran ko teb maloom hova k who apna sub kuch Shaihansha Alamgir ki akloti baiti, Shehzadi Javeria k hawaley ker baitha hai. Shezadi ney bhi pehli nazer mein Shezade ki ankhein perdh li thein. Salam kerty hovey duno hi bai-sakhta muskera gaye aur teb pehli baar bina ilfaaz azhar-e-ulfat ho gaya.
Ab who duno rooz chup chup ker baagh mein milney legey aur youn mohabat ka phool aur khilta reha. Shaihansha Alamgir bhi iss baat se waqif tha, mager usko bhi Shezada Jibran bhut pesand tha. Kiyun who uskey bechpan k dost ka Baita tha aur eik mudat k baa dusky paas rehny aya tha. Shaihansha ko bhi Shezade k ander apney bechpan ka dost nazer ata jo ajj usky sath majood nhn tha.
Daikhty hi daikhty yeh mohabat rang pekerdny legi. Duno hi yunhi baithey baithey muskerany legey. Raat ko jageney aur subha ko soney legey. Eik eik waqt baichani sey bher jata jab bhi milney ka waqt kareeb ata. Mager yeah tufaan sey pehly ki khaamoshi thi. Woh tufaan jis ka in duno k gumaan mein hi nhn tha. Aur who tha, Shezada Ghulam. Shezada Ghulam, Shaihansha k chote bhai ka baita tha, jo apney kaley kartoot ki wejah sey bai-had mashoor tha. Iss baat ka Shaihansha ko bhi illm tha. Mager who khoon ki rishtey dari ki wejah sey mejboor tha.
Shezada Ghulam bhi kayi barss baad Shaihansha k darbaar per hazer hova tha. Mulakaat k baad who kuch sustaney k liye araam-gha mein chela gaya. Shaam junhi dheli to usko Shaihansha ney apney kamrey mein taleb kiya. Kuch dair Shezada Ghulam se baat cheet k baad Shaihansha ney apni baiti Shezadi Javeria ko uss sey milwaya. Yeh Shaihansha ki zindagi ki shayed sub sey berdi ghelti thi. Shezada Ghulam Shezadi ko daikhty hi pagal ho gaya. Aur usney than li ki woh Shezadi ko paa ker hi rehy ga. Mulakat sey jab who farigh hova to usney apney mukhbar, Aslam, sey Shezadi Javeria k barey mein sari malomaat petah kervayi. Jab Shezade Ghulam ko illm hova k Shezada Jibran uskey rastey mein aa reha to usney wohi gendi chall cheli jis k liye who mashoour tha, KALA JADDU.
Shezada Ghulam ney eik bedi ko paal rekha tha, jis sey who apney sarey ghelt makasid hasil kerta tha. Roobi eik naihayet hi kheternaak, koi bhi roop dharney wali aur kisi ko bhi jaddu sey apney kabbo mein kerney wali jadu-garni thi. Mager uski jaan eik sheeshi mein band thi jo Shezada Ghulam aur Aslam (mukhbar) jantey they k kahan chupayi h. Shezada Ghulam, apna her kaam Aslam ko kerny ko kehta tha, chunaache usney yeh zimedaari bhi Aslam k kendhon per daali.
Aslam ko iss baar pehli defa Shezada Ghulam ka yeh hukm maneny mein jhi-jhek mehsoos ho rehi thi. Kiyun k woh ander sey nhn chahta tha k who do piyar kerny waloon ko aleg kerny mein apna kirdaar ada kery. Mager woh mejboor tha, kiyun k Shezada Ghulam eik naihaiyet hi zalim shaks tha. Jo apney maksed k liye kuch bhi ker skta tha. Roobi ba-khoobi semjh gayi thi k usney ab kiya kerna hai, Shezada Jibran ko Shezadi sey alag…
Eik baar phir sham dhalney legi, dhardkeny bherdny legein, Shezada Jibran baagh mein phunch ker Shezadi Javeria ka intezaar kerny lega. Keh achanak eik bed-shekal sey aurat namo-daar hoyi . Jis ko daikhty hi Shezada Jibran chend lamho k liye khauf mein aa gaya. Yeh wohi Roobi thi jo Shezade ko Apney sath kaheen dour ley ker janey k liye ayi thi. Roobi ney eik hath Shezade k sir per rekha aur Shezada foren baihoush ho gaya. Roobi Shezade ko ley ker eik dour pahard per ley gayi jahan usney Shezade ko qaid ker diya.
Yeh zulm ki inteha nhn thi, ab bari thi Shezade Ghulam k zulm kerny ki. Usney porey mehal aur shehar mein yehi mashour kerva diya k “Sheezada Jibran eik ghelt maqsad k liye yahan aya tha, woh Shaihansha Alamgir ki baiti ko Apne sath ley ja ker usko qaid kerna chahta tha. Uss k yeh iraadey mujhy petah chel gaye aur who mujhsy darr ker yeh shehar chord ker hemesha k liye chela gaya hai”.
Shezadi Javeria, jaisey toot si gayi ho. Uski sub umeedein, khawab, khawahishein, menzil, duaein.. jaisey dhundhla si gayi hoon. Uski yakeen nhn aa reha tha k uska Shezada Jibran, aisa ho sekta h. Mager woh kehty hein na ko jo baat awaam ki zubaan per aam ho jaye, who phir such hi legney leg jati h. Shaihansha Alamgir woh shaks tha jisko apni baiti sey bhi zayda dukh tha. Kiyun k usney Shazada Jibran ko apna baita semjha tha. Usney na sirf Shezadi Javeria ka dil toorda, belkey Shaihansha ko bhut runj aur takleef di. Abb who shermaa reha tha her eik sey key jiss IZZAT per usko itna fakher tha, ajj wohi uski zillat ka sabab ben gayi.
Aslam, yeh sub daikh reha tha, aur ajj uss dajjal ka bhi dil usko keh reha tha k “Tuney bhi eik din marna h, soch Allah k samney tu kiya jawab dey ga.. Allah to piyar kerney waloon ko pesand kerta hai. Hemesha tuney Shezada Ghulam k liye logoun per zulm kiya, unka maal cheena, aurtoon ko ghulam benaya, burdhon ko mara-peeta.. aur aj tuney Mohabbat kerny walon ko bhi aleg ker diya.. Akhir tujhy yeh sub ker k kya mila?..”
Iss sub haal ka faida Shezada Ghulam ney uthaya, usney jab daikha k her teraaf mayoosi pori terha phail gayi h aur Shaihansha apni baiti k liye inteha k preshan hai to usney Shaihansha Alamgir sey derkhwast ki, “Shaihansha, App ki yeh halat mujhsy daikhi nhn jati, App ko udaas daikh ker mujhy dukh hota hai. Mein Shezadi Javeria ka hath App sey mangena chahta hon” Iss per Shaihansha ney uska baihad shukeriya ada kiya aur kaha k “Mujhy to koi iteraaz nhn, belkey mere liye to khusnaseebi ki baat hogi k Tum usko Apna loo gaye, buss meri baiti sey poch loo”
Shezada Jibran ko jab hosh aya to usney apney app ko eik andheri jegah mein paya. Jahan bilkul khamoshi thi. Uski kuch semjh nhn aa rehi k woh yahan kaisey aya aur akhir kiyun aya hai. Abhi who inhi sochoon mein gum tha k uski kisi k aney ki awaaz ayi. Woh sahem gaya k shayed phir wohi bad-chekal churdail aney legi hai. Mager jab who shaks kareeb aya to woh tha “Aslam”.. Aslam ko daikh ker Shezade Jibran ney sawaloon ki barishein ker dein. “Mein kahan ho? Yeh koun si jegah h? Who churdail koun thi? Yeh sub kis ney kervaya h? Meri Shezadi Javeria kaisi h?”… Aslam ney usko pori baat araam sey semjhayi. Pehly to suntey hi Shezade Jibran ko Aslam per bhut ghussa cherdha mager phir usney kaha k “Akhir tumhein ehsaas to hova, ab meri madat kero Shezadi ko uss Jalaad k hath legney sey”. Aslam ney kaha “Mein App ko yahan sey lainey hi isi liye ayah on k App Shezadi Javeria ko ja ker becha skein”. Abhi woh yeah baatein ker hi rehy they unko eik inteha ki khoufaank hansney ki awaaz ayi. Roobi aa phunchi thi. Usney atey hi kaha “Tum duno mein sey koi yahan se bech ker nhn jaye ga, mein tum duno ko mitta don gi”. Iss per Aslam ney apni jaib mein hath dala aur woh Sheeshi nikali jis mein Roobi ki jaan qaid thi. Shezada Jibran ney foren who sheeshi pekerd ker pass legi hoyi agg mein phaink di aur youn Roobi ka hemesha hemesha k liye kaam temaam ho gaya.
Udher doseri teref Shezada Ghulam Shezadi Javeria k kamrey ki teref bherd reha tha. Shezadi apney kamrey mein legi khairdki mein sey asmaan k teref daikh rehi thi. Ajj woh bhut kemzoor mehsoos ker rehi thi, usney apney duno bazaon ko pkerd hova tha, hount kaamp rehy they uskey, aisa lega reha tha k shayed kisi ko pukarney ki koshish ker rehi ho. Shezada Ghulam uskey kamrey mein dakhil hova aur usko Apni baatoon mein bhelany-phuslaney lega. Usney kafi dair bhut koshish k imager Shezadi Javeria to sirf Shezade Jibran kit hi na… Woh yeh maan bhi laity k Shaizada Jibran ney usko dhoka diya hai, mager ab uss mein kisi aur k dubara ho janey ki himet nhn thi. Itni hi dair mein Aslam aur Shezada Jibran mehal aa phunchy aur Shaihansha Alamgir ko sub suchayi sey aga kiya.
Shaihansha k hukm per Shezade Ghulam ko umer qaid ker liya gaya aur Shezade Jibran aur Shezadi Javeria ki shaadi ho gayi.
Damn, my fingers are paining!!