Zindagi se darte ho
ZINDAGI SE DARTE HO
zindagi se darte ho
zindagi to tum bhi ho,zindagi to hum bhi hein
Admi se darte ho
Admi to tum bhi ho, Admi to hum bhi hein
Admi zuba'n bhi hai, Admi bya'n bhi hai
iss se tum nahi darte!
harf aur maEni k rishta haey Ahan se Admi hai wabasta
iss se tum nahi darte
jo abhi nahi Aiy, uss ghari se darte ho
uss ghari ki Amad ki Agahi se darte ho!
pehle bhi to guzre hein
dawr narsaiy ke, be rya khudai ke
phir bhi ye samajhte ho, heich Arzumandi
ye shab e zuba'n bandi hai, rahe khudawandi hai!
tum magar ye kia jano,
lab agar nahi hilte,haath jag uthate hein
haath jaag uthate hein,rah ka nisha'n ban kar
noor ki zuba'n ban kar
haath bol uthate hein,subh ki aza'n ban kar
roshni se darte ho!
roshni to tum bhi ho,roshni to hum bhi hein
roshni se darte ho
shejr ki faseelo'n per
Dev ka jo saya thaa, pak ho gya Akhir
raat ka libada bhi
chaak ho gya Akhir,khaak ho gya Akhir
uzdham e insa'n se fard ki nou Aiy
raat ki sda Aiy
rah e shawq mein jeise rehro ka khu'n lapke
ik nya junu'n lapke
Admi chalak uthe
Admi hunse deikho, shehr phir basey deikho
tum abhi se darte ho