Ab yahan koi nahi
phir koi aaya dil-e-zaar! nahi koi nahi
raah-ro hoga, kahin aur chala jaye ga
dhal chuki raat, bikharnay laga taaron ka ghubaar
larkharaanay lagay aewaanon main khawbeeda chiraagh
so gayee raasta tak tak ke har ik rah-guzar
ajnabi khaak ne dhundla diye qadmon ke suraagh
gul karo shamma'en barha do mey, mena o ayyagh
apnay be-khawab kawaaron ko muqaffal karlo
ab yahan koi nahi, koi nahi aye ga
0 comments