Mujhay Bataoo
Sathiyoo bohut din ho gaye kuch nahi likha, ab bhi qalam hatth main hai, sochoon ka aik behar zehan ke sahil par talatum barpa kiye hoye hai lekin mian tu jaisay likhna bhol he gaya hoon .... aisa meray saath pehlay kabhi na hota tha, main jab bhi likhnay beth'ta tha tu qalam khud ba'khud chalna shoro kar diya karta tha ... lekin ab 1 sal say tu qalam haath main a kar larazna shuru kar deta hai .. shayed yeh meray irdd gird pheli hoyi girdd ka nateeja hai ... shayed muje likhna kabhi ata hi na tha tabhi tu aaj qalam khamoosh hai ... har nainsafi par main chup hoon ... har sitam zareefi par main heeran hoon .. har berehh'ravi par main pareshaan hoon lekin CHUP hoon..... main ab pehlay jaisa nahi raha .. main khud bhi tu badal gaya hoon .. murda zameer, behaya, reham say arri pata nahi yeh siffat kab muj main paida ho gayeen .. lekin ab main inhi ke saath zinda hoon aur mot'mayinn bhi .. aap dost heeran hoon gay ke main mot'mayin kaisay ho sakta hoon itna raya kar ho kar bhi ... tu yakeen kijiye main ab apni is zindagi say mot'mayin hoon muje lagta hai ke ab badla tu khatam ho jaoun ga .. muje zulm pasand hai ... zalim ka haath rokna muje bura lagta hai ...insaaf muje na'pasand hai .... sharam muje dhoka lagta hai ... aur zameer ki awaz muje bojh mehsoos hoti hai ... main aisa hi tha shayed ya pher main aisa ho gaya hoon .. baas yeh sawal samajne say kasirr hoon lekin muje apna aap ab bhi pasand hai .. khud pasand insaan jo tehra ... muje islaaf say kia laina , muje Deen say kia gharaz, Taraqee ke dorr main andha dundh baghnay wala bemahar Onth(camel)hoon ..... lekin pher muje kabhi kabhi takleef kyoon hoti hai ... kyoon main motamyin ho kar bhi chaain nahi le pata ... kyoon muje mera ander dasta hai ... kyoon main hamiyet khoo kar bhi ana parast hoon ... kyooon !!!!